1. Hum kaun hain
Stallion Skills, Soft Stallions LLC ka brand hai, aur Pakistan mein hamara office Office #201 Burj-ul-Minal II, Gulistan e-Johar Block-11, Karachi 75290 par hai. Yeh policy batati hai ke jab aap hamari website stallionskills.com use karte hain, hum se WhatsApp ya email par baat karte hain, class ya mentorship join karte hain, ya koi service lete hain, to hum kaunsi information lete hain aur us ka kya karte hain.
2. Hum kya information lete hain
- Jo aap khud dete hain: naam, WhatsApp ya phone number, email, shehar, aur jo aap message mein likhte hain.
- Payment ki tasdeeq: payment ka screenshot, transaction reference ya is jaisi details, jo fee confirm karne ke liye zaroori hon. Hum aap ka card number ya bank password kabhi nahi maangte.
- Services ke liye: shop aur products ki woh information jo kaam ke liye zaroori ho. Agar kaam ke liye aap ke Etsy account ka access diya jaye, to woh sirf us kaam ke liye use hota hai.
3. Website par kya hota hai
- Website ka contact form koi data save ya kahin send nahi karta. Woh sirf WhatsApp mein ek message tayyar karta hai, jo aap khud dekh kar bhejte hain.
- Etsy Fee Calculator sirf aap ke browser mein chalta hai. Jo numbers aap us mein likhte hain, woh hamare paas nahi aate.
- Website par Google Analytics 4 laga hai, taa ke hum dekh saken ke log website tak kaise pohanchte hain aur kaunse pages parhte hain (jaise kaunsa page khula, kis country ya shehar se, kaunsa device). Is ke liye Google cookies use karta hai. Hum is mein aap ka naam, number ya message nahi bhejte.
- Jab aap WhatsApp ka koi button dabate hain, to analytics mein sirf itna count hota hai ke button dabaya gaya aur kis page se. Aap ka WhatsApp number ya message analytics mein nahi aata.
- Google Analytics se bachna ho to apne browser mein cookies block kar sakte hain, ya Google ka opt-out add-on (tools.google.com/dlpage/gaoptout) use kar sakte hain.
- Website ke fonts aur images isi website se load hote hain. Is ke liye aap ka browser kisi bahar ki service (jaise Google Fonts) se connect nahi hota.
- Website jis hosting par chalti hai, woh aam tor par technical logs (jaise IP address aur visit ka waqt) rakhti hai.
4. Information ka istemal
- Aap ke sawalon ka jawab dena
- Enrollment confirm karna, Zoom link aur class ke updates bhejna
- Mentorship sessions ka time tay karna
- Services ka quote dena aur kaam deliver karna
- Fee aur hisaab kitaab ka record rakhna
Hum aap ki information bechte nahi. Aap ki marzi ke baghair marketing messages nahi bhejte, aur aap jab chahen aise messages band karwa sakte hain.
5. Kis ke saath share hoti hai
Hum information sirf wahan share karte hain jahan kaam ke liye zaroori ho:
- Jin tools se kaam hota hai: WhatsApp, Zoom, email aur payment ke providers. Yeh companies aap ki information apne servers par rakhti hain, jo Pakistan se bahar bhi ho sakte hain, aur un par un ki apni privacy policies lagu hoti hain.
- Hamari team: mentor ya team member, sirf utni information jitni aap ki class, session ya service ke liye zaroori ho.
- Qanoon ke tahat: agar koi court ya sarkari idara qanoon ke mutabiq information maange.
6. Data kitni der rakhte hain
Hum information utni der rakhte hain jitni class, mentorship, service, ya hisaab kitaab aur qanooni record ke liye zaroori ho. Us ke baad use delete kar dete hain. WhatsApp aur email ki chat aap ke apne phone ya inbox mein bhi rehti hai, jis par hamara control nahi.
7. Hifazat
Hum aap ki information ko sirf zaroorat wale logon tak mehdood rakhte hain aur use mehfooz rakhne ki poori koshish karte hain. Phir bhi internet par koi bhi system sau feesad mehfooz nahi hota, is liye hum mukammal hifazat ki guarantee nahi de sakte. Agar aap ne kaam ke liye apna Etsy access diya tha, to kaam khatam hone par apna password badal len.
8. Bachon ki information
Hamari services 18 saal se kam umar ke bachon ke liye nahi hain, siwaye is ke ke walid, walida ya guardian khud enroll karwayen. Agar aap ko lage ke kisi bache ne guardian ke baghair hamein information di hai, to hamein batayen, hum use delete kar denge.
9. Aap ke ikhtiyar
Aap kisi bhi waqt pooch sakte hain ke hamare paas aap ki kya information hai, use theek karwa sakte hain, ya delete karne ki request kar sakte hain. Hum 15 din ke andar jawab denge. Jo record qanoon ke tahat rakhna zaroori ho, jaise payment ka record, woh hum zaroori muddat tak rakh sakte hain.
10. Changes aur contact
Is policy mein koi change ho to naya version isi page par "Last updated" date ke saath lagaya jayega. Privacy se mutaliq koi sawal ya request ho to email contact@stallionskills.com ya WhatsApp 0323 3205079 par rabta karen.