Stallion Skills (Soft Stallions LLC ka brand) ki fees non-refundable hain. Is liye payment se pehle jo bhi poochna ho, WhatsApp par pooch len.
1. Fee wapis nahi hoti
Payment confirm hote hi class mein aap ki seat, ya mentor ka time, aap ke liye rakh liya jata hai aur woh kisi aur ko nahi diya jata. Is wajah se live classes aur mentorship ki fee payment ke baad wapis nahi hoti. Services mein kaam shuru hone ke baad payment wapis nahi hoti. Section 5 mein di gayi sooraten is se alag hain.
2. Etsy Live Classes
- Fee pay karne ke baad refund nahi hota, batch start hua ho ya nahi.
- Classes miss karne par bhi refund nahi hota.
- Batch badalna: agar aap kisi majboori mein yeh batch join na kar saken, to pehli class se pehle batayen. Mumkin hua to aap ko agle batch mein shift kar denge.
3. 1-on-1 Mentorship
- Plan ki fee pay hone ke baad refund nahi hoti, plan 1 month ka ho ya 1 year ka.
- Session miss karne ya plan ke dauran khud kaam rok dene par bhi refund nahi hota.
- Plan kisi aur ke naam par transfer nahi ho sakta.
4. Etsy services
- Kaam shuru hone ke baad service ki payment refund nahi hoti.
- Etsy ya Payoneer ke kisi faisle (jaise account suspend hona ya listing hatna) ki wajah se refund nahi hota, kyun ke yeh hamare control mein nahi.
5. Agar kami hamari taraf se ho
Upar wale rules tab lagu hote hain jab hum apna kaam poora karen. Agar kami hamari taraf se ho, to:
- Batch hum cancel ya postpone karen: aap ko agle batch mein bina kisi extra fee ke shift kar diya jayega. Agar aap agla batch join na kar saken, ya hum agla batch na karwa saken, to aap ki fee wapis kar di jayegi.
- Mentorship hum jari na rakh saken: pehle hum doosre mentor ke saath plan poora karwane ki koshish karenge. Yeh bhi mumkin na ho, to plan ki baqi muddat ke hisaab se fee wapis ki jayegi.
- Service hum shuru hi na karen, ya tay kiya gaya kaam deliver na karen: jo kaam deliver nahi hua, us ki payment wapis ki jayegi.
Aisa refund usi tareeke se kiya jayega jis se payment aayi thi, ya kisi aur tareeke se jis par hum dono agree karen.
6. Request kaise karen
Batch change ya Section 5 ke tahat request ke liye WhatsApp 0323 3205079 ya email contact@stallionskills.com par apna naam, enrollment ki detail aur payment ka reference bhejen. Hum 15 din ke andar jawab denge.
7. Aap ke qanooni huqooq
Yeh policy aap ke un huqooq ko khatam nahi karti jo Pakistan ka qanoon, jaise Sindh Consumer Protection Act, 2014, aap ko deta hai. Baqi shartein hamari Terms & Conditions mein hain.